Friday, September 15, 2017

Alaap

Ek uljhan hai,
Sulajhati hi nhi
Koi baat hai,
Nikalti hi nhi

Jab kabhi koshis,
Ki hai maine
sab samjhate hain,
kabhi samjhte nhi

Justju hai mujhe
bas us ek lamhe ki,
Jiske galiche me mai
apne dabe labj bikhara du

Ittifaqan hi sahi
Kisi ki nazre pad jaye un pr
Ek mukalma to ibtida ho unse
Mukammal afsana aap hi ram jayega!

Thursday, August 24, 2017

Guldasta

Aye dost tu samajh meri chahat ko jra,
dewaana hun tera teri aashiqui ko tarasta hun,

ehasaaso ki tajalli tak der se pahucha hun,
dewaana hun tera teri mohabbat ki aarzu krta hun,

Tu hai khush apne aalam me, mai bhi ye samajhta hun,
dewaana hun tera teri sohbat ko tamanna krta hun,

Tere rubaru rhu har lamha Mai,
dewaana hun tera deedar ki betabi me tadapta hun,

Mere tasavuur me maine apna bna liya hai tujhko,
dewaana hun tera teri hi ibadat krta hun,    
                 
Aye dost tu samajh meri chahat ko jra,
dewaana hun tera teri aashiqui ko tarasta hun!

Saturday, December 7, 2013

Khatta-Meetha

Beete pal ki yaadein,
Jab bhi palko pr aati hain,
meethe shahad aur kadwe neem,
dono ka swad chakhaati hain |

Kuchh yaadon se aankhon ke,
galiyare bhar aate hain,
jav wo beete huye drishya,
hume kal ki kahani sunate hain |

Shitheel ho ham un lamho mein,
khud ka abhinay nihaarate hain,
aur jo the hum-raahi humare,
unhe soch bechain ho jate hain |

Man gujarish karta hai,
phir se kyon na laut chale,
un na-samajhi se likhe panno me,
jiske kalam ki syahi
ab sookh chuki hai ||



Wednesday, April 24, 2013

Ae dil tu himmat na haar

Ae dil tu himmat na haar.

Uljhano ki dhundh mein,
Tu dhairya ko bna Aujaar,
En Oojhal rahon par,
Sun aane wala kal,
Rha h pukaar,

Ae dil tu himmat na haar.

Tark-Vitark mein,
Tu samay na dekh,
Dishaon ke sandarbh mein,
Tu chhor apna vivek,
Isi lay ki raftaar se,
Tu ho jayega paar,

Ae dil tu himmat na haar.

Sunday, October 14, 2012

Ishq

Aaj man hai unki ibadat kr lu,
Apne mehboob se mohabbat kr lu,
Ae yaaron thaam lo mujhe,
Shayad mai unhe thaamne ki jurrat kr lu   ||

Na hi unke husn ka kusur tha,
Na hi unki muskurahat ka shurur tha,
Hum ashiqi ke pyade nhi,
Hume bhi is baat ka gurur tha     || :-)

Unki moti si chhoti aankhon me,
Kajal ki sakari si dhar,
Wo unke gulabi hoth,
Aur chehre pr masumiyat ka khumar,
Unki aisi katil aadaon se bhi,
Hum nhi huye the bekrar           ||


Ek din unke alfazon ne guzarish ki,
Kuchh kadam saath chalne ki shifarish ki,
Humne to tab bhi sharafat ki deewar bna rakhi thi,
Magar unki baton ne humse sajish ki      || :-(

Wo waqt kuchh beeta aise,
Lamhe zindagi ke tham gaye ho jaise,
wo to nadarat ho gye kuchh hi duri  par,
Hum ghayal hokar dewaane ban gye magar      ||

Wednesday, February 22, 2012

नगमें

उन्होंने तो कह दिया ,
कि आशिकी कर लो ।
दिल में एहसास को छिपाना,
वफाई नहीं ।।


गर वो क्या समझायेंगे हमे ,
कि मोहब्बत क्या है ।
दिवानो के नसीब ,
हमने भी बहुत देखे है ।।

Tuesday, February 21, 2012

तलब

मैंने तक़दीर से एक दिन पूछा,
अपनी ज़िन्दगी का फ़साना ,
ज़वाब में उसके लब्ज थे ,
इतना आसाँ नहीं इसे पाना ।


तनहाई ने फिर शिरकत की ,
रुसवाई और ग़ुरबत की सलाह ली ,
मेरी ज़िन्दगी के फ़साने को उसने ऐसे पेश किया,
कि मुझे गमो के सागर में ही डूबा दिया ।


हारे हुए मन से मैंने ,
लम्हों कि ओर नज़र घुमाई ,
मेरे हाल पर रहमत करके उसने ,
मुझे ज़िन्दगी के पलों की तस्वीर दिखाई ।


कुछ तस्वीरों में तबस्सुम छलके ,
कुछ ठहाके बन गए ,
कुछ ने अश्को  को  बहाया ,
तो कुछ ने ज़हमते ढाई ।



अपने सवाल के जुस्तजू में मैंने ,
बस यही जवाब है पाया ,
ज़िन्दगी के फलसफे को मै,
समझ कर भी , समझ नहीं पाया ।।